Pages

Naat sharif lyrics

DUSHMAN-E AHMAD PE SHIDDAT KIJIYE



Dushman-e Ahmad pe shiddat kijiye 
Mulhidon ki kya murrawat kijiye



 Zikr unka chheriye har baat me 
Chherna Shaytaan ka aadat kijiye



  Misl-e Faras zalzalay hoon LACE>NajdLACE> mein 
Zikr-e Aayaat-e Wilaadat kijiye



 Ghaiz mein jal jaa-ein be Deeno ke dil 
Yaa Rasool Allah ki Kasrat kijiye



 Kijiye charcha unhee ka subh-o shaam 
Jaan-e Kaafir par Qayamat kijiye



 Shirk thehre jis mein ta'zeem-e Habeeb 
Us bureh mazhab pe laanat kijiye



 Zaalimo! Mahboob ka haqq tha yehi 
Ishq ke badle adaawat kijiye



 Ghaus-e-Azam aap se faryaad hai
Zinda phir ye paak Millat kijiye



Mere Aaqa Hazrate Ach'che Mia 
Ho Raza Ac'cha wo Soorat kijiye

-------------------------------------------------------------

SAB SE AOLA WOH AALA HAMARA NABI 
Sab se aola wa aala hamara Nabi 
Sab se baala wa waala hamara Nabi

 Apne Moula ka pyara hamara Nabi 
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

 Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa 
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

 Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

 Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat 
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi

 Khalq se Awliya Awliya se Rusul 
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi

 Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

 Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

 Kya khabar kitne taare khile chhup gaye 
Par na doobe na dooba hamara Nabi

 Saare ooncho meh ooncha samajhye jise 
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi

 Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he 
Be kason ka sahara hamara Nabi

------------------------------------------------------

SARWAR KAHOON KE MAALIK-O MAWLA KAHOON TUJHE

Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe 
Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe

 Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon 
Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe

 Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon 
Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe

 Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf 
Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe

 Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen 
Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe!

 Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa, 
Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe!

 Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon 
Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe

 Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree 
Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe

 K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee 
Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahoon tujhe

 Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya 
Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon tujhe!

-------------------------------------------------------------

CHAMAK TUJH SE PAATE

Chamak tujh se paate he sub paane waale 
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale

 Barasta nahin dekh kar abre Rehmat 
Badon par bhi barsa de barsaa ne waale

 Madine ki khit’te Khuda tujh ko rakhe 
Gareebon Faqeeron ke thahraane waale

 Tu zinda he Wal’llah tu zinda he Wal’llah 
Meri chashme aalam se chup jaane waale

 Me mujrim hoo Aqaa mujhe saath le lo 
Ke raste me he jaa baja thaane waale

 Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna 
Are sar ka mouqa he au jaane waale

 Tera khaene tere Ghulamo se uljhe 
He munkir ajab khaane ghur’raane waale

 Rahe ga yun heen unka charcha rahega 
Pare khaak hojaye jaljane wale
---------------------------------------------------

LUTF UNKAA AAM HO HI JAAYEGAA

Lutf unkaa aam ho hi jaayegaa 
Shaad har naa kaam ho hi jaayegaa

 Jaan de do wadah-e deedaar par 
Naqd apnaa daam ho hi jaayegaa

 Yaad rah jaayegi ye bebaakiyaa 
Nafs too to raam ho hi jaayegaa

 Be nishaano ka nishaan mit-taa nahi 
Mitte mitte naam ho hi jaayegaa

 Saailo daaman sakhi ka thaam lo 
Kuch na kuch in’aam ho hi jaayegaa

 Yaad-e abroo kar ke tarpo bulbulo 
Tukre tukre daam ho hi jaayegaa

 Mufliso un ki galee mein jaa paro 
Baagh-e khuld ikraam ho hi jaayegaa

 Gham to un ko bhool kar lipta hai yun 
Jaise apna kaam ho hi jaayegaa

 Ab to laayee hai Shafaa’at ‘afwa par 
Badhte badhte aam ho hi jaayegaa

 Ay Raza har kaam ka ik waqt he 
Dil ko bhi aaraam ho hi jaayegaa

--------------------------------------------------------------------

ARSH KI AQL DANG HE CHARKH ME ASMAAN HE

Arsh ki aql dang hai charkh me Asmaan hai 
Jaane muraad ab khidar ha ye tera Makan hai

 Arsh pe jaa ke murg aql thak ke gira gash aagaya 
Aur abi manzilo pare pehla hi astaana hai

 Arsh pe taaza chher chaar farsh me turfa dhoom dhaam 
Kaan jidhar laga’iye tere hi Dastaan hai

 Wo jo na the to kuch na tha wo jo na ho to kuch na ho 
Jaan he wo jahaan ki jaan he to jahaan hai

 Khauf na rakh Raza zara too to he Abde Mustafa 
Tere liye amaan he tere liye amaan he

------------------------------------------------------------

KARORON DUROOD

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood 
Taiba ke Shamsud Duha tumpe karoron Durood

 Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron Durood 
Daafa’e jumla balaa tumpe karoron Durood

 Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa 
Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood

 Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa 
Jab na Khudaa hi Chupaa tumpe karoron Durood

 Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj 
Koyee bhi aisa huwa tumpse karoron Durood

 Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah 
Tum kaho Daaman me aa tumpe karoron Durood

 Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees 
Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron Durood

 Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen 
Banda he tanha Shaha tumpe karoron Durood

 Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki 
Koyi kami sarwaraa tumpe karoron Durood

 Aankh ataa kijiye us me ziya dijiye 
Jalwa qareeb aa 
LACE>gayaLACE> tumpe karoron Durood

 Kaam wo le lijiye tum ko jo Raazi kareh 
Theek ho naame Raza tumpe karoron Durood

---------------------------------------------------------

PHIR KE GALI GALI TABA

Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khayen kyoon 
Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon

 Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon 
Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon

 Yaade Huzoor ki qasam gaflate aish he sitam 
Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon

 Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi 
Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon

 Jaan he Ishqe Mustafa roz fizoo kare Khuda 
Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa  uthae kyoon

 Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho 
Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai

 Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum 
Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon

-------------------------------------------------

ARSHE HAQ HE MUSNADE RIF'AT RASOOLULLAH KI

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki 
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki

 Qabr me lehraa-e-ge tha Hasr chashme noor ke 
Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki  

LACE>Laa WaLACE> Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila 
Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki

  Wo Jahannum me LACE>gayaLACE> jo Unse mustaghni huwa 
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki

 Sooraj ulthe paaw palthe chaand ishaare se ho chaak 
Undhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki

 Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi door ho 
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki

 Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fizoo 
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki

 Ahle Sunnat ka he bera  paar Ashaabe Rasool 
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki

 Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund 
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki

 Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm 
Josh par aajaaye ab Rehmat Rasoolullah ki

 Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor 
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki

--------------------------------------------------------

UTHADO PARDA DIKHADO CHEHRA

Uthado Parda dikhado Chehra 
Ke Noore 
LACE>bariLACE> hijab me hai

 Zamaana taarikh ho rahaa hai
Ke mehr kab se naqaab me hai

 Unhiki boo ma ya saman hai 
Unhi ka Jalwa chaman chaman hai

Unhi se Gulshan mehak rahe hai 
Unhi ki rangat ghulab me hai

 Khade he Munkar Nakir sar par 
Na koyee haami na koyee yaawar

Batado aakar mere Payambar 
Ke sakht mushkil jawab me hai

 Khuda-e Qah’har he gazab par 
Khule he badkaariyo ke Daftar

Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar 
Tumhara banda azaab me hai

 Kareem aisa mila ke jiske 
Khule he haath aur bhare khazaane

Batao-e mufliso ke phir kyoon 
Tumhara dil iztaraab mein hai

 Karim apne karam ka Sadqa 
Laeem beqadr ko na sharma

Too aur Raza se Hisaab lena 
Raza bhi koyee Hisaab me hai

------------------------------------------------------

ZAMMINO ZAMAAN

Zamino Zamaan tumhare liye 
Makino Makan tumhare liye

 Chunino Chuna tumhare liye 
Bane do jahan tumhare liye

 Dahan me zuban tumhare liye 
Badan me hai Jaan tumhare liye

 Hum aye Yahan tumhare liye 
Uthe bhi Wahan tumhare liye

 Farishte Khidam Rasoole Hashm 
Tamame Umam Ghulame karam

Wajoodo Adam Haduso kidam 
Jahan me aya tumhare liye

  Kalimo Naji Masiho LACE>SafiLACE> 
Khalilo Razi Rasoolo Nabi

Atiko wasi Gani-o-Ali 
Sana
 ki Zuban tumhare liye

 Asaalate kul Imaamate kul 
Siyaadate kul Imaarate kul

Hukoomate kul Wilayate kul 
Khuda ke Yahan tumhare liye

 Tumhari Chamak tumhari Damak 
Tumhari Jhalak tumhari Mahak

Zamino Falak Simako Samak 
Me sikka rawa tumhare liye

 Ye Shamso Qamar ye Shaamo Sahar 
Ye bargo shajar ye baago samar

Ye tego sipar ye Taajo kamar 
Ye hukme Rawan tumare liye

  Na Roohe Ami na Arshe LACE>bariLACE> 
Na Laohe Mubin koyee bi kahin

Khabar hi nahin jo Ramz khile 
Azal ki Nihan tumhare liye

 Jina me Chaman Chaman me Saman 
Saman me Phaban Phaban me Dulhan

Sazaa’e Mahan par aise Minan 
Ye amno amaa tumhare liye

  Khalilo Naji Masiho LACE>SafiLACE> 
Sabhi se kahin kahin bhi banin

Ye be-khabari ke Khalq phiri 
Kahan se kahan tumhare liye

 Ishaare se Chand chir diya 
Chhipe huwe Khur ko pher liya

Gaye huwe Din ko Asr kiya 
Ye Taabo Tawaan tumhare liye

 Sabah woh chale ke Baag phale 
Wo Phool khile ke din ho bhale

Liwa ke tale Sana me khule 
Raza ki zuban tumhare liye
----------------------------------------------------------
SUBHA TAYBAA MEIN HUWEE BAT-TAA HE BAARA NOOR KAA

Subha Taybaa mein huwee bat-taa he baara Noor ka 
Sadqa lene Noor ka aaya he taara Noor ka

 Baagh-e Taybaa mein Suhaana phool phoola Noor ka 
Mast boo hai bulbule parti he Kalma Noor ka

 Baarahween ke Chaand ka mujraa he Sajdah Noor ka
Baarah Burjon se Jhukaa ik ik Sitaara Noor ka

 Aayee Bid’at chaayi zulmat rang badlaa Noor ka
Maahe Sunnat mahr-e Tal’at le le badla Noor ka

 Tere hi Maathe rahaa ay jaan Sahraa Noor ka
Bakht jaaga Noor ka chamkaa Sitaara Noor ka

 Mein Gadaa Tu Baadshah bhar de piyaala Noor ka
Noor din duunaa teraa dedaal Sadqa Noor ka

 Taaj Waale dekh kar tera Imaama Noor ka
Sar jhuka te hain Ilaahi bol baalaa Noor ka

 Sham’a dil mishkaat tan Seenaa zujaajah Noor ka
Teri Soorat ke liye aayah hai Surah Noor ka!

 Too he Saayaa Noor ka har ‘uzw tukra Noor ka
Saaye ka Saaya na hota hai na Saaya Noor ka!

 Teri Nasl-e Paak mein he Bachcha Bachcha Noor ka
Too he ‘ayn-e-noor tera sab Gharaana Noor ka!

 Chaand jhuk jaata jidhar Unglee uthaate Mahd mein
Kyaa hi chaltaa thaa Ishaaron par Khilawnaa Noor ka

 Ay Raza ye Ahmed-e Noori ka Fayz-e Noor hai
Ho gayee meri Ghazal bar kar Qaseeda Noor ka!
--------------------------------------------------------------
UNKI MAHEK NE DIL KE GHUNCHE KHILA DIYE HAIN

Unki mahek ne dil ke Ghunche khila diye hain
Jis raah chal diye hain Koochey basa diye hain

Jab aa gayi he joshe rehmat pe unki ankhen
Jalte bhujha diye hain rote hasa diye hain

Ik dil hamara kya hai aazaar uska kitna
Tum ne to chalte phirte moorde jila diye hain

Unke nisaar koyee kaise hi runj mein ho
Jab yaad agaye hain sab gham bhula diye hain

 Aane do ya dubo do ab to Tumhari Jaanib
Kashti tumhi pe chori Langar utha diye hain

Dulha se itna kehdo pyare sawari roko
Mushkil mein hain Baraati poorkhaar vadiye hain

Allah kya Jahannam ab bhi na sard hoga
Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hain

Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga
Darya baha diye hain dur be baha diye hain

Mulke sukhan ki shahi tum ko Raza musallam
Jis simt aagaye ho sikke bitha diye hain
----------------------------------------------------
HE KALAAME ILAHI ME SHAMSO DOHA 
He Kalaame Ilahi me Shamso Doha 
Tere Chehra-e Noor fiza ki Qasam

 Qasame Shabbe taar me raaz ye tha 
Ke Habeeb ki Zulfe Dota ki Qasam

 Tere Khulq ko Haq ne Azim kaha
Teri Khalq ko Haq ne Jameel kiya

Koyee tujhsa huwa he na hoga Shaha 
Tere Khalike Husno ada ki Qasam

 Wo Khuda ne hai martabe tujko diya 
Na kisi ko mile na kisi ko mila

Ke Kalaame Majid ne khayi Shaha 
Tere Shehro Kalaamo Baqaa ki Qasam

  Tera Masnade Naaz he Arshi LACE>bariLACE> 
Tera Mehrame Raaz he Roohi ami

Toohi Sarware har do jahan he Shaha 
Tera misl nahin he Khuda ki Qasam

 Yehi arz he Khaaliqe arzo samaan 
Woh Rasool haiTere me bandaa Tera

Muje unke jawaar me de wo jagaa 
Ki Khuld ko jiski safa ki Qasam

 Toohi bando pe kar ta he lutfo ata 
He Tujhi pe barosa Tujhi se Dua

Mujhe Jalwaa Paake Rasool dikha 
Tujhe Apne hi Izzo Ula ki Qasam

 Yehi kehti he Bulbule baage jinaa 
Ke Raza ki tarah koyee sehr bayan

Nahin Hind me wasife shahe Huda 
Mujhe shokhi-e Tabi Raza ki Qasam
--------------------------------------------------
ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD

Zehe Izzat-o I’tlaaye Muhammad
Ke he Arsh-e-Haqq zer-e-paaye Muhammad

Makaan Arsh unka falaq farsh unka
Malak khaadmaan-e-saraaye Muhammad

Khuda ki Raza chaahata hain do Aalam
Khuda chaahata hai Razaaye Muhammad

 Ajab kya agar raham farmaaye hum par
Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad

 Muhammad baraaye Janaab-e-Ilaahi
Janaab-e-Ilaahi Baraaye Muhammad

 Dam-e-nazaa’ jaari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad

 Mein qurbaan kya pyaari pyaari hai nisbat!
Yeh aane Khuda woh Khudaaye Muhammad

 Khuda unko kis pyaar se Dekhta hai
Joh aankhein hein mah-we-liqaaye Muhammad

 Ijaabat ka sehra Inaayat ka joda
Dulhan ban ke niklee Duaaye Muhammad

 Raza pul se ab Wajd karte guzariye
Ke hai Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad
----------------------------------------------------
NE’AMATEIN BAANT TA JIS SIMT WOH ZEESHAAN GAYA

Ne’matein baant ta jis simt woh zeeshaan LACE>gayaLACE> 
Saath hi munshiye Rehmat ka qalam daan LACE>gayaLACE>

  Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan LACE>gayaLACE> 
Mere Maula mere Aqa Tere qurbaan LACE>gayaLACE>

 Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi 
Hai woh dil jo tere dar se pur arman 
LACE>gayaLACE>

 Dil he woh dil jo teri yaad se ma’moor raha 
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan 
LACE>gayaLACE>

 Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam 
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman 
LACE>gayaLACE>

 Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan 
LACE>gayaLACE>

 Aaj le unki Panah aaj madad maang unse 
Phir na maanege Qayamat mein agar maan 
LACE>gayaLACE>

 Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahunche 
Tum nahin chalte Raza sara to samaan 
LACE>gayaLACE>
------------------------------------------------------------------------
WAAH KYA JOODO KARAM

Waah kya jood-o-karam he Shaah-e-Bathaa tera 
Nahi sunta hi nahi maangne waala tera


Asmaa khaa zami khaa zamaana mehmaan 
Saahibe khana laqab kis ka hai tera tera

 Farsh waale teri shoukat ka uloo kya jaane 
Khus rawa Arsh pe urta he phir yaraa tera

Main to Maalik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb 
Yani Mahboob-o-Muhib me nahi tera mera

 Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein
Kaun nazro me juke dekh ke talwa tera

 Ek mein kya mere isyan ki Haqiqat kinti
Mujh se so lakh ko kaafi he ishara tera

 Tere Sadqe tujhe ek boond bohat he teri
Jis din achchon ko mile jaam chalak ta tera

 Teri Sarkaar me laata hai Raza us ko Shafee 
Jo mera Ghaus he aur laadla beta tera
---------------------------------------------------------
HAAJIYO AAWO SHAHENSHAHA KA RAWZA DEKHO

Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho 
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho

 Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho

 Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase 
Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho

 Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente 
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho

 Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba 
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho

 Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho

 Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad 
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho

 Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye 
Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho

 Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho

 Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa 
Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho
----------------------------------------------------------

Jo Arsh Par Jalwaagar Huey


 This Na’at Is Composed In The Memory Of “Me’raaj Sharif”.

 Woh Sarware Kishware Risaalat, Jo Arsh Par Jalwaagar Huey The
Naye Niraale Tarab Ke Saamaan, Arab Ke Mehmaan Ke Liye The

 Wohi To Ab Tak Chalak Raha Hai, Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahaane Mei(N) Jo Giraatha Paani, Katore Taaro(N) Ne Bhar Liye The

 Bacha Jo Talwo(N) Ka Un Ke Dhowan, Bana Woh Jannat Ka Rango Roghan
Jinho(N) Ne Dulha Ki Paai Utran, Woh Phool Khuzaare Noor Ke The

 Utaar Kar Un Ke Rukh Ka Sad’qah, Yeh Noor Ka Ban Raha Tha Bara
Ke Chaand Suraj Machal, Machal Kar, Jabi(N) Ki Khairaat Maang Te The

 Kau’no Makaa(N) Ke Jhoote Nukto, Tum Awwal Aakhir Ke Phair Mei(N) Ho
Muhib Ki Chaal Se To Pucho, Kidhar Se Aaey Kidhar Gaye The

---------------------------------------------------------------------------

Lam  Ya’ati  Naziro  Ka Fi Nazrin


Misle  To  Na  Shud  Paida Jaana

 Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So
Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana

 Al Bahro Alaa Wal Mavjo Tagha
Man Bekaso Tufaa(N) Hosh Ruba

 Manjdhaar Mei(N) Hu(N) Bigri Hai Hawaa
Mori Nayya Paar Laga Jaana

Ya Shamso Nazrate Ila Layli
Chu(N) Ba Tai’bah Rasi Arze Ba Kuni

 Tori Jyot Ki Jhal, Jhal Jag Mei(N) Rachi
Meri Shab Ne Na Din Hona Jaana

 Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal
Khat Haaley Maah Zulf Abre Ajal

 Tore Chandan Chandra Par Kundal
Rehmat Ki Bharan Barsa Jaana

 Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam
Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abre Karam

 Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim
Do Boond  Idhar  Bhi Gira Jaana

 Ya Kaafelati Zidi Ajalak
Rahme Bar Hasrate Tishna Labak

 Mora Jiyera Larje Dharak, Dharak
Tai’bah Se Abhi Na Suna Jaana

 Ar Rooho  Fida Ka Fazid Harka
Yak Shola Digar Barzan Ishqa

 Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya
Yeh Jaa(N) Bhi Pyaare Jala Jaana

 Bas Khaama-Aey Khaam Nawaaey Raza
Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera

 Irshaade Ahibba Na’atik Tha
Nachaar Is Raah Para Jaana
------------------------------------------------------
GUNAHGARO KA ROZE MAHSHAR
Gunahgaro ka Roze Mahshar Shafi-ul-Anaam hoga
Dulhan Shifa’at banegi Doolha Nabi alaihis salaam hoga 

Kabhi to chamkega Najme Qismat, hilaal mahe tamaam hoga
Kabhi to zare pe mahr hogi kabhi woh mahr idhar khush khiraam hoga


Para hoo me unki rah guzar me pare hi rahn se kaam hoga
Dil-o-jigar farsh raah banenge ye deeda-e-ishq khiraam hoga


Unhi ka moo sub takenge us din jo woh karenge woh kaam
Duhaa’i sub unki dete honge Unhi ka har lub pe naam hoga


Khuda ki Marzi he unki marzi, he unki marzi Khuda ki Marzi
Unhi ki marzi ye ho raha he unhi ki marzi ye kaam hoga


Jidhar Khuda he udhar Nabi he, jidhar nabi he udhar Khuda he
Khudaayi bhar sub idhar phiregi jidhar woh Aali maqaam hoga


Ussi tamanna me dum para’he yahi sahaara he zindagi ka Bulalo
mujko Madina sarwar nahi to jeena Haraam hoga


Huzoor Roza huwa jo haazir to apni saj dhaj ye hogi Haamid
Khamida sar aankh band lub par mere Durood-o-Salaam hoga